Archive for the ‘Swades’ Category

Swades – Ye Taara Woh Taara Lyrics   Leave a comment

Udit:
Hey hey…hey hey hey…eh hey…eh hey
Oh ho ho ho ho ho ho… ho ho…ho ho ho…
Ye taara woh taara har taara -2
Dekho jisse bhi lage pyaara
Ye taara woh taara har taara
(Ye sab saath mein jo hai raat mein
Toh jagmagaaya aasmaan saara) -2
Jagmag taare, do taare, lo taare sau taare
Jagmag saare, har taara hai sharaara

Udit:
Un mein dekhi hai dhanak toh, bolo rang kitne hain
Saath rang kehne ko, phir bhi sang kitne hain
Samjho sabse pehele toh, rang hote akele toh
Indranush banta hi nahin
Ek na ham ho paaye toh, anyaay se ladne ko
Hogi koyi janta hi nahin
Phir na kehna nirbal hai kyun haara hmm…aara taara
Ye taara woh taara har taara -3
Dekho jisse bhi lage pyaara
Ye sab saath mein jo hai raat mein
Toh jagmagaaya aasmaan saara
Jagmag taare, do taare, lo taare sau taare
Jagmag saare, har taara hai sharaara

Udit:
Boond boond milne se, banta ek dariya hai
Boond boond saagar hai, warna ye saagar kya hai
Samjho is paheli ko, boond ho akeli toh
Ek boond jaise kuchh bhi nahin
Ham auron ko chhode toh, munh sabse hi mude toh
Tanha rehna jaaye dekho ham kahin
Kyun na bane milke ham dhaara hmm..aara taara

Vignesh:
Ye taara woh taara har taara -3
Dekho jisse bhi lage pyaara
Ye taara woh taara har taara
Ye sab saath mein jo hai raat mein
Toh jagmagaaya aasmaan saara

Both:
Jagmag taare, do taare, lo taare sau taare
Jagmag saare, har taara hai sharaara

Udit:
Hey hey…hey hey hey…eh hey…eh hey
Oh ho ho ho ho ho oho… ho ho…ho ho ho…

Udit:
Jo kisaan hal sambhaale, dharti sona hi ugaaye
Jo gowaala gaiya paale, dudh ki nadi bahaaye
Jo lohaar loha dhhaale, har auzaar dhhal jaaye
Mitti jo kumbhaar uthhaale, mitti pyaala ban jaaye
Sab ye roop hai mehnat ke, kuchh karne ki chaahat ke
Kissi ka kissi se koyi bair nahin
Sab ke ek hi sapne hain, socho toh sab apne hain
Koyi bhi kissi se yahaan ghair nahin
Seedhi baat hai samjho yaara…hmm…aara taara

Baby Pooja:
Ye taara woh taara har taara -2

Vignesh:
Dekho jisse bhi lage pyaara
Ye taara woh taara har taara

Udit:
Ye sab saath mein jo hai raat mein
Toh jagmagaaya aasmaan saara

Baby Pooja:
Jagmag taare, do taare, lo taare sau taare
Jagmag saare, har taara hai sharaara

Udit & Kids:
Ye taara woh taara har taara -3

Kids:
Ye taara woh taara har taara

Udit:
(Dekho jisse bhi lage pyaara)

Posted August 28, 2008 by rakulla in AR Rahman, Swades

Swades – Yeh Jo Des Hai Tera Song Lyrics   Leave a comment

(Ye jo des hai tera, swades hai tera, tujhe hai pukaara…
Ye woh bandhan hai jo kabhi toot nahin sakta) -2

Mitti ki jo khushboo, tu kaise bhoolaayega
Tu chaahe kahin jaaye, tu laut ke aayega
Nayi nayi raahon mein, dabi dabi aahon mein
Khoye khoye dilse tere, koyi ye kahega
Ye jo des hai tera, swades hai tera, tujhe hai pukaara
Ye woh bandhan hai jo kabhi toot nahin sakta

(Hmm…hmm…hmm…hmm…hmm…)
Tujhse zindagi, hai ye keh rahi
Sab toh paa liya, ab hai kya kami
Yun toh saare sukh hai barse
Par door tu hai apne gharse
Aa laut chal tu ab diwaane
Jahaan koyi toh tujhe apna maane
Awaaz de tujhe bulaane, wahi des
Ye jo des hai tera, swades hai tera, tujhe hai pukaara
Ye woh bandhan hai jo kabhi toot nahin sakta
(Hmm…hmm…hmm…hmm…hmm…)

Ye pal hai wahi, jis mein hai chhupi
Koyi ek sadi, saari zindagi
Tu na poochh raaste mein kaahe
Aaye hain is tarha do raahein
Tu hi toh hai raah jo sujhaaye
Tu hi toh hai ab jo ye bataaye
Chaahe toh kis disha mein jaaye wahi des
Ye jo des hai tera, swades hai tera, tujhe hai pukaara
Ye woh bandhan hai jo kabhi toot nahin sakta
Hmm…hmm…hmm…

Posted August 28, 2008 by rakulla in AR Rahman, Swades

Swades – Yun Hi Chala Chal Song Lyrics   Leave a comment

Hariharan:
Yunhi chala, chal raahi -2
Kitni haseen hai ye duniya
Phool saare jamele, dekh phoolon ke mele
Badi rangeen hai duniya
Rum tum taana na nak tum tum taana na -3 bhaiya

Kailash:
Hmm…aa…aa…aa…

Udit:
(Ye raasta hai keh raha ab mujhse
Milne ko hai koyi kahin ab tujhse) -2

Kailash:
Ho…oh ho ho ho ho…ho ho ho ho ho…

Udit:
Dil ko hai kyun ye betaabi
Kis se mulaaqaat honi hai
Jis ka kabse armaan tha
Shaayad wahi baat honi hai

Kailash:
Yunhi chala, chal raahi -2
Jeevan gaadi hai samay paiya
Aansoon ki nadiya bhi hai
Khushiyon ki bagiya bhi hai
Rasta sab tera takke bhaiya

Udit:
Yunhi chala, chal raahi -2
Kitni haseen hai ye duniya
Phool saare jamele, dekh phoolon ke mele
Badi rangeen hai duniya

Udit:
Hey na na na hey na na na
Hey hey hey eh hey…
Dekho jidhar bhi in raahon mein
Rang pighalte hain nihaagon mein
Thhandi hawa hai thhandi chhaaon hai
Door woh jaane kiska gaaon hai
Baadal ye kaisa chhaaya
Dil ye kahaan le aaya
Sapna ye kya dikhlaaya hai mujhko

Kailash:
Har sapna sach lage, jo prem agan jale
Jo raah tu chale apne mann ki
Har pal ki seeb se moti hi tu chune
Jo sada tu sune apne mann ki

Udit:
Yunhi chala, chal raahi -2

Hariharan:
Kitni haseen hai ye duniya

Udit:
Phool saare chamele, dekh phoolon ke mele
Badi rangeen hai duniya

Udit:
Mann apne ko kuch aise halka paaye
Jaise kandho pe rakha boj hat jaaye
Jaise bhola sa bachpan phirse aaye
Jaise barson mein koyi ganga nahaaye

Kailash:
Jaise… barson mein, koyi ganga nahaaye

Udit:
Khul sa gaya hai ye mann
Khul sa gaya har bandhan
Jeevan ab lagta hai paawan mujhko

Kailash:
Jeevan mein preet hai, honton pe geet hai
Bas yehi jeet hai sun le raahi
Tu jis disha bhi jaa, tu pyaar hi loota
Tu deep hi jala, sun le raahi

Udit:
Yunhi chala, chal raahi -2
Kaun ye mujhko pukaare
Nadiya pahaad jheel aur jharne, jangal aur waadi
In mein hai kiske ishaare

Udit & Hariharan:
Yunhi chala, chal raahi -2
Kitni haseen hai ye duniya
Phool saare jamele, dekh phoolon ke mele
Badi rangeen hai duniya

Kailash:
(Ho…aa…aa…)

Udit:
Ye raasta hai keh raha ab mujhse
Milne ko hai koyi kahin ab tujhse

Hariharan: Rum tum taana na nak tum tum taana na -3 bhaiya
Kailash: Sa Ni Sa Ga Ga Ga Sa Ma Ma Ma Re Re Re
Udit: Sa Ni Sa Sa, Sa Ni Sa Sa
Kailash: Sa Ni Sa Ga Ga Ga Sa Ma Ma Ma Sa Pa Pa Pa
Udit: Sa Ni Sa Sa, Sa Ni Sa Sa
Hariharan: Yunhi chala… chal raahi
Udit: Sa Ni Sa Sa, Sa Ni Sa Sa
Hariharan: Kitni haseen hai ye duniya…

Posted August 28, 2008 by rakulla in AR Rahman, Swades